Sunday, February 15, 2015

Le aao na kaala dhan tum

le aao na kala dhan tum,  mil ke khushiyan manayenge
tax ki koi fikar na hogi,  no.  1 ban jayenge..

matdan toh humne kar hi diya,  khaata bhi ab khulwayenge
chahe aadha hissa tum rakh lena,  fir bhi na asi hum uthayenge

ab toh tumko naam pata hai,  duniya bhi sath nibhayegi,
ab tak janta ummeed se hai,  netaji kuchh toh layenge

Le aao na kala dhan tum,  mil ke khushiyan manayenge

By - shammi prabhakar Singh

No comments: